Best shayari collections of 2019, best friend shayari, love sayari, motivational shayari, sad shayari - ShayarZaada

Post Top Ad

Your Ad Spot

Saturday 26 October 2019

Best shayari collections of 2019, best friend shayari, love sayari, motivational shayari, sad shayari

समय के साथ बदल जाओ,
या फिर समय बदलना सीख लो,
कभी भी किस्मत को मत कोसो,
हर हाल में संभलना सीख लो…
Samay ke saath badal jaao,
Ya fir samay badalna seekh lo,
Kabhi bhi kismat ko mat koso tum,
Har haal mein sambhalna seekh lo…
कौन कहता है कि वो ख़ुश हैं बहुत हमारे बिना,
जरा एक बार उनके सामने हमारा नाम पुकार कर तो देखिये।
Kaun kehta hai ki wo khush hain bahut hamaare bina,
Jara ek baar unke saamne hamara naam pukaar kar to dekhiye…
जिसके मुक़द्दर में ही हो दुनियावालों की ठोकरें,
उस बदनसीब से क्या नसीब की बात करें
Jiske muqaddar mein hi ho duniyawalon ki thokrein,
Us badnaseeb se kya naseeb ki baatein karein…
नसीहतें तो अच्छी देतें हैं इस दुनियाँ के लोग,
बशर्ते दर्द किसी ग़ैर का दिया हो…
Naseehatein to achchi dete hain is duniya ke log,
Bashrte dard kisi gair ka diya ho…
बिखरे हुए ख़्वाबों और रूठे हुए अपनों ने मुझे उदास कर दिया,
वर्ना दुनियावाले रोज मुझसे मेरे मुस्कुराने की वजह पूछते थे।
Bikhre huye khwaabon aur roothe huye apno ne mujhe udaas kar diya,
Warnaa duniyaawale roj mujhse mere muskuraane ki vajah poochte the…
नदी के किनारों जैसी लिख जी उस रब्ब ने किस्मत हमारी,
ना लिखा कभी एक होना और ना लिखी जुदाई हमारी
Nadi ke kinaaron jaisi likh di hai us rabb ne kismat hamaari,
Naa likha kabhi ek hona aur naa hi likhi judaayi hamaari…
इस दुनिया की भीड़ में कोई भी किसी का नहीं हो पाता है,
पैसे की क्या बात करें इंसान भी यहाँ बिक जाता है।
Is duniya ki bheed mein koi bhi kisi ka nahi ho paata hai,
Paise ki kya baat karein insaan bhi yahan bik jaata hai…
जाने क्यों मुझे रोना नहीं आता, जाने क्यों अपना दर्द-ए-दिल बताया नहीं जाता,
लोग अक्सर साथ छोड़ देते हैं मेरा बीच राह में, शायद मुझे ही रिश्ते निभाना नहीं आता।
Jaane kyon mujhe rona nahi aata, jaane kyon apna dard-e-dil bataana nahi aata,
Log aksar saath chhod dete hain mera beech raat mein, shaayad mujhe hi rishte nibhaana nahi aata..
काश कि आप यह समझ सकते कि इस कम्बखत काश से रोजाना कितना लड़ते हैं हम।
Kaash ki aap yeh samajh sakte, ki is kambakhat kaash se rojana kitna ladte hain hum…

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot